aur jab un ke ajdad ki sarzamin
jis ki aaghosh mein wo pale
tang hone lagi
jab usulon ki pakizgi
aur ganda riwayat mein
jang hone lagi
to unhen aasman se hidayat mili
nek band tumhaare liye
ye zamin ek hai
us safar mein tumhein rizq ki fikr hai
kya anajon ki gaThri uThae
charindon parindon ko dekha kabhi
zad-e-rah
nek aamal hain
mere ahkaam hain
maut ka KHauf be-kar hai
aaKHiri sans ke baad
sab ko palaTna hai meri taraf
tum faqat jism hi to nahin
apne andar sulagti hui raushni
ke sahaare baDho
ek hi jast mein
dast-o-dariya ki phaili hui
wusaten nap lo
chappe chappe pe apne nuqush-e-qadam
is tarah sabt kar do
ki un ajnabiyon ki hairat miTe
aur paiham taaqub mein dushman jo hain
un ki KHiffat baDhe
mere ahkaam ki raushni
sab ke dil mein utaro
ki aiwan-e-taslis mein
sham-e-wahdat jale
Nazm
Aiwan-e-taslis mein sham-e-wahdat jale
Zaheer Siddiqui