KHizan ke jate hi rut ka pansa palaT gaya hai
bahaar ki KHushbuon se gulshan ka zarra zarra mahak raha hai
zamin ki rangat badal gai hai
kabhi taghayyur jo mausamon ka
nirale giton ke sath aaya
to zindagi ki aziz-tar saaton ke malik
bhaDak uThe the
palak palak par kai kahe an-kahe fasane
machal gae the
to qand-e-guftar mein bhi talKHi rachi hui thi
faza ki aaludgi ka shikwa tha un ke lab par
shunida baaton ka KHauf un ke dilon mein aisa basa hua tha
ki wo kisi baat par yaqin bhi na karne pate
gire the un ki samaaton aur basaraton par dabiz parde
kabhi jo mausam ne ruKH jo badla
to un ke hosh-o-hawas jage
unhon ne qudrat ke rang dekhe
to zindagi ka yaqin aaya
bahaar ki samt lauT aae
Nazm
Wapsi
Taj Saeed