teri aarzu
jise main ne sab se alag rakkha
use dil ke narm ghilaf se
kabhi jhankne bhi nahin diya
ki ye KHwahishon ke hujum mein
kahin apni qadar ganwa na de
teri chhoTi chhoTi nishaniyon ko
baDe qarine se poTli mein lapeT kar
kabhi koThari mein chhupa diya
kabhi TanD par rakhe degche mein gira diya
ki pare pare rahen chashm-e-charKH-e-kabud se
kabhi zer-e-lab tera nam bhi
kahin le liya
to tamam shab usi waswase mein guzar gai
ki KHamoshiyon mein Dhala hua ye surud-e-gham
kisi kam-shanas ne sun liya
to na bach sakega waqar-e-hurmat
usi ehtiyat mein kaT gai hai meri hayat ki dopahar
mere chaaragar tujhe kya KHabar
mujhe aaj bhi teri laj ka wahi pahle jaisa KHayal hai
na to fikr-e-sham-e-firaq hai
na umid-e-subh-e-visal hai
Nazm
Tujhe kya KHabar
Talib Ansari