do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khiDki par
shikasta-pursi na-ummid ashk aankhon mein bhar kar
is tarah sakit na baiTho ek jagah par
kanch ko patthar ki sangat mein hi rahna ho
to ek rasta ye hai
wo faslon ko darmiyan rakhe
suno
ye zist aisi shai nahin mil paegi phir
do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khiDki par
chalo halke se rangon ki lapeTo oDhni
baramde mein us se khelengi hawaen kasni
phir jamuni si raushni oDhaegi ek maKHmalin chadar
muqayyash us mein sitare Tankne utrenge
dekho
zindagi ka aur ek din hai guzarne ko uTho to
do-jahan ka husn le kar muntazir hai sham khiDki par
Nazm
Muntazir hai sham
Tarannum Riyaz