mera bachcha raham jab school se lauTa
main ne us se basta apne hath le kar us se puchha
itna bhaari kyun hai basta
tin kitaben le kar tum school gae the
ek pani ki botal thi aur lunch box tha
itna bhaari kyun hai basta
bola baba main kya bolun
rose to ye halka hota hai
aaj na jaane bhaari kyun hai
mujh ko kuchh tashwish hui to
main ne us ka basta khola
khol ke dekha
tin kitaben nahin thin us mein chhe thin
pani ki botal bhi ek nahin thi
do do thin
lunch box bhi do the lekin ek hi jaise
raham ka kuchh KHali tha par dusra pura bhara hua tha
socha kaise ho sakta hai
ye to raham ka basta hai
ek baste mein sari chizen do do kyun hain
ek dam mujh ko yaad aaya ki
kal school ke chhalni bachchon mein ek bachcha
raham jitni umr ka bhi tha
bilkul raham ke jaisa tha
raham jaisa hi basta tha
pani botal bhi waisi
lunch box ka color wahi tha
wo bhi mera hi bachcha tha
wo bhi kal school gaya tha
aaj us ne school ki chhuTTi kar li hai
ab wo chhuTTi par hi rahega
us ka basta rose uTha kar
mera bachcha ghar aaega
Nazm
16 december armi public school par hamla
Ali Imran