scent usama
ab rozana
nau se gyarah
apne pyare maddahon se
tora-bora ke ghaaron
ya dar-ul-harb mein milte hain
jahan bhi wo ja ke Thahre hain
gane par pabandi hai
phul lagane aur taswir
utarwane par pabandi he
aurten na-mahram ke sath nazar aaen to
koDe aur patthar mare jaenge
america ke gun gane walon ke
hath pair aur sar bhi utare jaenge
KHabar nahin ki sidhi rah pe chalne wale
maghrib mein hain ya mashriq mein
ye bhi yaad nahin ki bachche aaKHiri bar
kab school gae
qadam qadam par kanTe aur barudi surang bichhi hui hain
jin ko nakara karne ke sare mantar
hathon mein banduq uTha ke
scent usama bhul gae
jaan bachane wali dawaon ki
yarab kitni qillat hai
ki bechaare har bande ko
jaan dene ki
nai adaen sikhlate hain
ab rose
nau se gyarah
apne pyare maddahon ko
jannat mein le jaane wali
kai duaen sikhlate hain
Nazm
Scent usama
Zeeshan Sahil