اردو हिंदी
Nensi | Shaahi Shayari
nensi

Nazm

Nensi

Tanveer Anjum

;

sahra mein jahan cactus ke daraKHt ziyaada hain
us ne ek saeban aur ek bench banai hai

jis par nensi aaram se us ki aaghosh mein
leT ya baiTh sakti hai

pure chand ki raat mein
nensi us se milne zarur aati hai

aur is bench par
us ke kandhe par sar rakh kar

us se baaten karti hai
ya wo KHamoshi se

chand sahra aur cactus ke daraKHton ko dekhte rahte hain
us dauran wo apna dayan hath

nensi ki kamar ke gird Dale rahta hai
agar nensi ko nind aa jati hai

wo bilkul sakit ho jata hai
taki wo jitni der so sakti hai

soti rahe
nensi

jo peter ki biwi
aur Douglas ki bahan hai

aur pure chand ki raat mein
unhen dhoka de kar us se milti hai

agar kisi raat bench par
der tak soti rah jae

wo tez raftar gaDi aur shikari banduq ke sath
nensi ko DhunDte hue aa jate hain

aur use akela sota hua pa kar
gaDi mein Dal kar le jate hain