suno kal tumhein hum ne madras cafe mein
aubash logon ke hamrah dekha
wo sab laDkiyan bad-chalan thin jinhen tum
saliqe se kafi ke cup de rahe the
bahut fuhsh aur mubtazil nach tha wo
ki jis ke recordon ki ghaTiya dhunon par
thirakti machalti hui laDkiyon ne
tumhein apni bahon ki jannat mein rakkha
bahut dukh hua
tum ne hotel mein kamra kirae pe le kar
un aubash logon aur un laDkiyon ke hujum-e-tarab mein
gai rut tak jashn-e-sahba manaya
bahut dukh hua KHandani sharafat
buzurgon ki banki sajili wajahat ko
tum ne sar-e-am yun raund Dala
saliqa jo hota tumhein laghzishon ka
to apne buzurgon ki manind tum bhi
gharon mein kanizon se pahlu sajate
pae ishrat-e-dil haweli mein har shab
kabhi raqs hota kabhi jam chalte
kisi mah-ruKH par dil-o-jaan luTate
saliqa jo hota tumhein laghzishon ka
to yun KHandani sharafat wajahat
na miTTi mein milti na badnam hoti
Nazm
Sharif-zada
Zubair Rizvi