raste ajnabi manzilen ajnabi
hazirin ajnabi mahfilen ajnabi
zindagi kuchh nahin zindagi ajnabi
aur phir mere dil maut bhi ajnabi
yar bhi ajnabi aur aghyar bhi
radio Tw sare ye aKHbar bhi
hai zamin ajnabi aasman ajnabi
aur to aur kaun-o-makan ajnabi
samne aaine ke jo main aa gaya
aaine ne kaha kaun hai tu bata
kuchh to apna taaruf bhi mujh se kara
main hansa aur hans ke kahne laga
main bhi hun ajnabi aur tu ajnabi
shakl meri tere ru-ba-ru ajnabi
main bhi hairan hun tu bhi hairan hai
shahr sunsan hai dil bhi viran hai
Dher miTTi ka bas apni pahchan hai
saya-e-zulf-e-barham mein le chal mujhe
warna mai-KHana-e-gham mein le chal mujhe
qatra-e-ashk ya qatra-e-mai piyun
kyun na sarmaya-e-zist un ko kahun
dosti dushmani guftugu ajnabi
aaj sab kuchh ba-juz haw-hu ajnabi
Nazm
Haw-hu
Tishna Barelvi