1
meri KHalwat ke haale mein tumhaara ye tilsmati badan
ek nur mein Duba hua bahta hua dhaara
ye madh-mata ye KHud ko sar-ba-sar bhula hua
behad nirala an-chhua saya
hawa ke narm soe soe lahje ki tarah mas ho ke
meri ruh mein aatish ka bhaDkata hua saya
ye saya raushni hi raushni hai sar se panw tak
ye saya zindagi hi zindagi hai sar se panw tak
ye wasl-e-tam ka lamha wo lamha hai
ki jab KHud waqt ruk jata hai
jaise sham ko dariya bhi ruk kar KHud faramoshi ke gahre sans lete hain
2
udhar jab waqt ka sayyal dhaara
ek do lamhon ko rukta hai
na jaane kyun mere andar lahu ka tez-tar ho kar
harim-e-dil ki diwaron se apna sar paTakta hai
ye pir-e-rome ke marqad pe raqsan
un KHuda-agah durweshon ki surat raqs karta hai
jinhen KHud apne tan-man ki koi sudh-budh nahin rahti
wo sar-ta-pa faqat ruh-e-tam ki tamsil lagte hain
kisi aise abad lamhe mein jism-o-jaan ki is wahdat ka koi nam to hoga
sarapa raqs ki us haalat-e-be-nam ka anjam to hoga
tumhi bolo ki us ka nam kya anjam kya hai
han tumhi bolo girah kholo
Nazm
La-yaKHul
Tahseen Firaqi