ek aarasta band kamra
jis ke darwaze KHarzar ki taraf khulte hain
jahan hamare talwon par tarik rahen naqsh kar ke
hamein KHasaron ke safar par bheja jata hai
hum hamesha gard-o-ghubar kama kar lae
magar kabhi inkar ko rahnuma nahin jaana
hamare zehn ke ufuq par
suraj ke tulu hone par pahre hain
ki band kamre mein
andheron ki nigahbani mein hamara muqaddar likhne walon ka
muqaddar kaun likhta hai?
shor macha kar hum mein sukut banTne wale
sukut kahan se late hain
Nazm
(1) parliament
Muneer Ahmad Firdaus