hum ek aisi wadi daryaft kar chuke
jahan sirf dukhon ki fasl kasht hoti hai
jannat ki baat karne walon ke honT
KHamushi ke dhage se si kar
unhen sannaTon ki jahannam mein Dal diya jata hai
mohabbat ke mathe par nafrat likhne ki siyahi
har sine mein Dal di gai hai
dharti ke sine par KHushiyan sinchne walon ki aankhen
ab apne hath talashti phirti hain
nafrat ke tezab se hum
ek dusre ka chehra bigaDne par tul chuke hain
hamari masumiyat ke chehre par
KHauf jale bun chuka hai
Nazm
(1) be-chehragi
Muneer Ahmad Firdaus