zehn jab tak hai
KHayalat ki zanjir kahan kaTti hai
honT jab tak hain
sawalat ki zanjir kahan kaTti hai
bahs karte raho likhte raho nazmen ghazlen
zehn par sadiyon se tari hai jo majlis ki faza
is KHunuk aanch se kya pighlegi
soch lene hi se haalat ki zanjir kahan kaTti hai
nind mein Dubi hui aankhon se wabasta KHwab
tez kirnon ki sinanon pe hi ruswa sar-e-am
ye shahid apni salibon se palaT aate hain dil mein har sham
subh hoti hai magar raat ki zanjir kahan kaTti hai
din guzar jata hai be-faiz kad-o-kawish mein
ek an-dekhe jahannam ki tab-o-tabish mein
jism aur jaan ki tag-o-taz ki har pursish mein
dard-o-gham hasrat-o-mahrumi ki har kahish mein
talab-o-tark-e-talab silsila-e-be-payan
marg hi zist ka unwan hai har KHun-shuda KHwahish mein
gham se bhagen bhi to faryaad-o-shikayat ki zanjir kahan kaTti hai
waqt wo daulat-e-nayab hai aata nahin hath
hum mashinon ki tarah jite hain pabandi-e-auqat ke sath
waqt be-kar guzarta hi chala jata hai
kursiyon mezon se be-mani mulaqaton mein
sainkaDon bar ki agli hui dohrai hui baaton mein
mandgi rahne ki tamanna ki mudaraaton mein
shikam-o-jaan ki ibaadat ki zanjir kahan kaTti hai
subh se sham talak itne KHuda milte hain har kafir ko
sajda-e-shukr se inkar ki mohlat nahin milne pati
sainkaDon lakhon KHudaon ki nazar se chhup kar
KHud se mil lene ki ruKHsat nahin milne pati
KHud-paraston se bhi taat ki zanjir kahan kaTti hai
raat aati hai to dil kahta hai hum apne hain
KHalwat-e-KHwab mein duniya se kinara kar len
kal bhi dena hai lahu apna dil-o-dida ki jholi bhar len
jism ke shor se aur ruh ki fariyaad se dam ghuTta hai
din ke be-kar KHayalat ki zanjir kahan kaTti hai
be-niyazana bhi jina hai faqat ek guman
fikr-e-maujud ko chhoDen to gham-e-na-maujud
sath har sans ke hai silsila-e-hast-o-bud
gham-e-afaq ko Thukraen karen tark-e-jahan
phir bhi ye fikr ki jine ka ho koi unwan
be-niyazi se gham-e-zat ki zanjir kahan kaTti hai
zehn mein andhe aqidon ki siyahi bhar lo
taki is nagri mein
kabhi afkar ke shoalon ka guzar ho na sake
jabr ka hukm suno
honTon ko apne si lo
taki un rahon se
kabhi lafzon ka safar ho na sake
zehn-o-lab phir bhi nahin chup hote
un ke KHamosh sawalat ki
pech-dar-pech KHayalat ki
zanjir kahan kaTti hai
Nazm
Shab-o-roz tamasha
Waheed Akhtar