ye wo dilli hai ki dil se jis ke diwane hain hum
ye wo sham-e-zindagi hai jis ke parwane hain hum
aaina hai hum se us ke ahd-e-zarrin ki jhalak
us ke tahzib-o-adab ke aaina-KHane hain hum
ilm-o-fan ke motiyon pe jam gaya gard-o-ghubar
KHak ke zarraat mein malbus durdane hain hum
hum pe rahti hai nigah-e-shafqat-e-ahl-e-nazar
mahfil-e-sher-o-adab mein jaane-pahchane hain hum
hazir-e-KHidmat kiya hai jauhar-e-qalb-o-dimagh
kam-nigahon ki nazar mein phir bhi begane hain hum
ab to KHwesh waghaira kahte hain hamein kuchh aur hi
jab to ek duniya samjho thi ki farzane hain hum
tamkanat 'sauda' ki 'talib' 'mir' ka rakhte hain 'dard'
bagh to jaane hai sara par na kuchh jaane hain hum
Nazm
Dilli aur hum
Talib Chakwali