abhi parchhaiyan unche daraKHton ki
juda lagti hain rang-e-asman se
zara pahle gaya hai ek parinda bagh ki jaanib
udhar se aane wale ek tayyare ki rangin batiyan
raushan nahin utni
wo nikli hain sabhi chamgadaDen apne Thikanon se
baDa mubham sa aaya hai nazar zohra falak ke beach
T kozi ke niche hai garm ab bhi bacha pani
kisi ne mujh ko andar se nahin aawaz bhi di
main
zara baramde mein aur rah lun
fusun mein sham ke prawasi bah lun
Nazm
Sham ka sahar
Tarannum Riyaz