purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
ajab wo waqt tha
chaaron taraf jismon ki daldal thi
barahna mard wazn
retile sahil par paDe
ek dusre ko chumte rahe
kisi lab par na thi hamd-o-sana
aur ungliyan
tasbih ke danon ko sai-e-raegan gintin
KHuda barham hua
us ne samundar ki tahon mein aag raushan ki
samundar khaul kar lawa bana
aur sahilon ko kaT kar nikla
har ek jaanib samundar hi samundar tha
koi aadam na aadam-zad baqi tha
bas ek kashti thi sath-e-ab par
jis ko koi sahil na milta tha
wo din chaaliswan tha
jab KHuda ne mehrbani ki
samundar ko sameTa
sahilon ki ret chamkai
wo pahli subh thi
jab sab ke honTon par
KHuda ki hamd thi
tasbih ke dane chamakte the
Nazm
Chaaliswan din
Zubair Rizvi