waqt ko sahra kahun ya bahr-e-be-sahil kahun 
raat hai reg-e-rawan ki lahr ya ki mauj-e-ab-e-zindagi 
tare jugnu hain ki moti phul hain ya sipiyan 
kahkashan hai dhul taron ki ki mauj-e-pur-KHarosh-o-dur-fashan 
soch ki chingariyan uDti hain yun 
jaise dil par choT paDti ho kisi ehsas ki 
jaise main tanha nahin 
waqt ke sahra mein jaise an-ginat sae ubhar kar meri jaanib 
dauDte aate hun 
sae 
biti sadiyan jaise par phailae uThin gol gol 
apni lashen chhoD kar meri taraf aain 
ki jaise noch khaengi mujhe 
aur phir murda lashen yak-ba-yak wahshi bagulon ki tarah 
raqs karti chaar-su 
Dhol-tashon aur naqqaron ki haibat-nak aawazon pe raqs 
khaDkhaDati haDDiyan KHud shoale ban kar nachti hain chaar-su 
aur ek zartusht sajda rez ho kar 
un ki haibat un ki azmat un ki be-rahmi ko karta ho salam 
aur wo 
us ko apni gul-fishan aaghosh mein le kar uThin 
jaise man 
apne bachche ko uThae 
aur main 
waqt ke be-rahm hathon mein hon jaise gidh ke changul mein koi zinda parind 
biti sadiyan shab ke sannaTe main shab-KHun mar kar 
is tarah yalghaar karti hain ki jaise main nihatta hun 
mere tarkash ke tir 
mere hi sine mein hain paiwast 
main zinda nahin 
zinda nahin 
2 
dekh ai chashm-e-KHayal 
sar ke taron pe iThlati hui wo ju-e-naghma bu-e-gul 
wo urus-e-arzu wo chandni ke pairahan mein husn-e-raqsan mauj-e-mai 
wo bahaaron ka tabassum wo jawani ka ghurur 
titliyon ki KHamushi gungunati ragni 
aa rahi hai meri jaanib hath phailae hue 
husn jis ke loch se hai sang-e-marmar mein gudaz 
husn jis ke rup se aahan hua aaina-saz 
husn angDai mein jis ki saikDon qaumon ka raaz 
husn jis ke abruon ka jalwa mehrab-e-namaz 
husn jis ka ras-bhara sina hazaron gumbadon par sarfaraaz 
kya hua wo husn wo doshiza wo mere 
KHayalon ki dulhan 
kho gai apni numu ke parda-e-rangin ke pichhe kho gai 
waqt ke sahra mein aiwanon ki azmat sang-sazon ki tarash 
hajla-e-simin ki ranai ka afsun ho gai 
husn patthar ban gaya fan ki ragon ka garm KHun 
murda sadiyon ke shabistanon mein apni aarzu se ji uTha 
aur suraj ki tarah raushan hua 
din Dhale tak meri aankhon mein raha biti hui sadiyon ka nur 
mera sarmaya tha suraj ki mohabbat ka fusun 
mere honTon par tarane the ki mere zehn mein 
git ban ban kar ubharta tha fazaon ka sukut 
yaaden phulon ki tarah 
dil ke har goshe ko mahkati thin aur mere KHayal 
sham tak 
aaj ki shab ki tamanna mein rahe 
nim-shab ki sard tariki mein ye mazi ke bhut 
nachte hain har taraf 
jaise ye ek aur duniya se dar aate hain yahan 
jaise main un dushmanon mein ghir gaya hun jin ki bhuk 
mere KHun se bujh gai to bujh gai 
KHushk hain lab dam nikalta ja hai dam-ba-dam 
be-hisi chhae chali jati hai ab main kya karun 
kya karun 
waqt ke sahra ka ek zarra hun main 
biti sadiyon ne jise pala magar 
aaj main hun un ki aankhon wo KHar 
jis ko us sahra pe koi haq nahin 
kash waqt 
wusat-e-sahra mein lae bahr-e-jaulan ka KHarosh 
aur main apne mazi ki murad 
TuT kar ek aur hi sahra ka mazi ban sakun
        Nazm
Minar-e-sukut
Yusuf Zafar

