zyaada kuchh nahin mar jaenge kisi din hum
har ek shai se mukar jaenge kisi din hum
har ek jagah bhaTakte phirenge sari umr
bil-aKHir apne hi ghar jaenge kisi din hum
na dekh roz haqarat se is qadar hum ko
koi to kaam bhi kar jaenge kisi din hum
tumhaari rah mein har chiz to luTa Dali
ye jism-o-jaan bhi dhar jaenge kisi din hum
tamasha lafz o bayan ka bhi kab talak 'mamun'
ki jism-o-jaan se utar jaenge kisi din hum
Ghazal
Zyaada kuchh nahin mar jaenge kisi din hum
Khaleel Mamoon