zulmaton mein jite hain, raushni ke mare hain
ek hi qabile ke chand aur sitare hain
ratjagon ke sathi hain, ashk, aahaTen, KHushbu
bas yahin kahin tu hai ya bharam hamare hain
aaj tak to rasman bhi tu ne ye nahin puchha
hum ne teri furqat mein kaise din guzare hain
us ne mere pahlu mein jhank kar nahin dekha
choT kitni gahri hai zaKHm kitne sare hain
Tahniyon ki zinat the suliyon pe laTke hain
KHushk zard patte jo mausamon ke mare hain
hum ne apne purkhon ke ehtiram ki KHatir
farz bhi nibhaya hai, qarz bhi utare hain
main to ek musafir hun mera kaam hai chalna
manzilen tumhaari hain raste tumhaare hain
dil se tai to ho jae sath kis ke jaana hai
raste nikalne ko yun to Dher sare hain
hum ne kal zamane ko raushni dikhai hai
aaj hum zamane ki raushni ke mare hain
Ghazal
Zulmaton mein jite hain, raushni ke mare hain
Khwaja Sajid