اردو हिंदी
Zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log | Shaahi Shayari
zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

Ghazal

Zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

Aish Barni

;

zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log
ahl-e-manzil ki nigahon se utar jate hain log

kal talak to husn ki masumiyat mashkuk thi
ab KHulus-e-ishq par bhi choT kar jate hain log

rah mein ab wo dar-e-jaanan ho ya dair-o-haram
sar uThae be-niyazana guzar jate hain log

zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin
hae wo haalat jab be-maut mar jate hain log

shaiKH-sahib hum siyah-baKHton ka pichha chhoDiye
sham hoti hai to apne apne ghar jate hain log