اردو हिंदी
Zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai | Shaahi Shayari
zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai

Ghazal

Zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai

Hasan Nizami

;

zulmat hi pahle thi jo hawale mein rah gai
taswir-e-kaenat ujale mein rah gai

aankhon ki hi sharab thi tauba-shikan zarur
kuchh aur bhi mai ki tarah pyale mein rah gai

karti hai maut jaise taaqub hayat ka
titli giri faza se to jale mein rah gai

bad-mazgi-e-suluk ka gahra asar hua
ek kankari si mere niwale mein rah gai