zulmat hai to phir shoala-e-shab-gir nikalo
KHurshid koi shab ka jigar chir nikalo
kaTta hai kabhi naKHun-e-angusht se kohsar
patthar na kuredo koi tadbir nikalo
main gul hun mujhe shaKH pe khilna hai ba-har-taur
tum KHak se gul-KHezi ki tasir nikalo
tum roghan-e-KHun burrish-e-shamshir se bhar kar
jo chaho mere jism se taswir nikalo
jo zehn mein tha KHwab mein dekha hai wahi kuchh
jo chaho ab is KHwab ki tabir nikalo
ye shahr-e-shikasta hai nae shahr ki buniyaad
ek taza dar-o-baam ki tamir nikalo
auraq-e-shab-e-rafta siyah honge magar tum
is bab se ye surKHi-e-tahrir nikalo
Ghazal
Zulmat hai to phir shoala-e-shab-gir nikalo
Saleem Shahid