اردو हिंदी
Zulmat-e-shab se ulajhna hai sahar hone tak | Shaahi Shayari
zulmat-e-shab se ulajhna hai sahar hone tak

Ghazal

Zulmat-e-shab se ulajhna hai sahar hone tak

Nau Bahar Sabir

;

zulmat-e-shab se ulajhna hai sahar hone tak
sar ko Takrana hai diwar mein dar hone tak

ab to us phul ki nikhat se mahakti hai hayat
zaKHm-e-dil zaKHm tha tahzib-e-nazar hone tak

dil hi jalne do shab-e-gham jo nahin koi charagh
kuchh ujala to rahe ghar mein sahar hone tak