zulmat-e-shab hi sahar ho jaegi
shiddat-e-gham chaaragar ho jaegi
rone wale yun musibat par na ro
zindagi ek dard-e-sar ho jaegi
baad-e-tamir-e-makan zanjir-e-gham
ulfat-e-diwar-o-dar ho jaegi
la dalil-e-ishq-o-masti darmiyan
KHatm bahs-e-KHair-o-shar ho jaegi
zikr apna ja-ba-ja achchha nahin
sab kahani be-asar ho jaegi
subh-e-rahat ke tasawwur ke tufail
har shab-e-gham muKHtasar ho jaegi
sirf-o-azm-e-atshin darkar hai
umr sargarm-e-safar ho jaegi
aa raha hai inqilab-e-hashr-KHez
zindagi zer-o-zabar ho jaegi
Ghazal
Zulmat-e-shab hi sahar ho jaegi
Sikandar Ali Wajd