اردو हिंदी
Zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga | Shaahi Shayari
zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga

Ghazal

Zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga

Asar Sahbai

;

zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga
le ke ham-rah mah-e-dagh-e-jigar jaunga

aariz-e-gul hun na main dida-e-bulbul gulchin
ek jhonka hun faqat san se guzar jaunga

ai fana TuT sakegi na kabhi kashti-e-umr
main kisi aur samundar mein utar jaunga

dekh ji bhar ke magar toD na mujh ko gulchin
hath bhi tu ne lagaya to bikhar jaunga

ek qatra hun magar sail-e-mohabbat se tere
ho sake jo na samundar se bhi kar jaunga

dur gulshan se kisi dasht mein le ja sayyaad
ham-safiron ke taranon mein to mar jaunga

sehn-e-gulshan mein kai dam bichhe hain ai 'asar'
uD ke jaun bhi agar main to kidhar jaunga