اردو हिंदी
Zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak | Shaahi Shayari
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak

Ghazal

Zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein teri kyun hain KHamosh ahl-e-zaban aaj tak

ishq mahw-e-gham-e-zindagi ho gaya husn madhosh-e-ishwa-taraazi raha
ahl-e-dil hosh mein aa chuke hain magar hai wahi aalam-e-dil-baran aaj tak

aise guzre hain ahl-e-nazar rah se jin ke qadmon se zarre munawwar hue
aur aise munawwar jinhen dekh kar rashk karti rahi kahkashan aaj tak

karwanon ke rahbar ne rahzan phir bhi manzil pe kuchh rah-rau aa gae
wo nae karwanon ke rahbar bane jin se hai azmat-e-rahbaran aaj tak

mushkilen aafaten hadse sanehe aae 'aKHtar' meri rah mein kis qadar
mujh ko aage baDhata raha hai magar mera dil mera azm-e-jawan aaj tak