zulm-o-sitam ki aag mein jalta raha hun main
apne lahu mein jal ke ubalta raha hun main
yun bhi nizam-e-dahr badalta raha hun main
apne lahu se aag ugalta raha hun main
insaniyat ki tirgi ho dur is liye
qanun ki kitab mein jalta raha hun mein
mujh ko nichoDti rahi tariKH bar bar
misl-e-magas hi shahd ugalta raha hun main
yun husn-e-gulistan ko baDhata hun main 'majid'
har lamha nok-e-KHar pe chalta raha hun main
Ghazal
Zulm-o-sitam ki aag mein jalta raha hun main
Majeed Maiman