zulm ko tere ye taqat nahin milne wali
dekh tujh ko meri baiat nahin milne wali
log kirdar ki jaanib bhi nazar rakhte hain
sirf dastar se izzat nahin milne wali
shahar talwar se tum jit gae ho lekin
yun dilon ki to hukumat nahin milne wali
raste mein use dekha hai kai rose ke baad
aaj to rone ko fursat nahin milne wali
shafqaten banTne ke taur bhi sikhen warna
umr baDhne se fazilat nahin milne wali
'mir' ki rah ka main aap kulahon wale
aap se meri tabiat nahin milne wali
dil dukha man ka to phir chain nahin paoge
ghar ko chhoDa to kahin chhat nahin milne wali
Ghazal
Zulm ko tere ye taqat nahin milne wali
Tufail Chaturvedi