zulm karte hue wo shaKHs larazta hi nahin
jaise qahhaar ke mani wo samajhta hi nahin
jitna bhi banT sako banT do is daulat ko
ilm ek aisa KHazana hai jo ghaTta hi nahin
hindu milta hai musalman bhi isai bhi
lekin is daur mein insan to milta hi nahin
mera bachcha bhi alag fikr ka malik nikla
jo kabhi naqsh-e-qadam dekh ke chalta hi nahin
is qadar sard-mizaji hai musallat hum par
koi bhi baat ho ab KHun ubalta hi nahin
kis tarah utrega aangan mein qamar KHushiyon ka
gham ka suraj kabhi diwar se Dhalta hi nahin
miT nahin sakta kabhi daman-e-tariKH se dagh
KHun-e-mazlum kabhi raegan hota hi nahin
Ghazal
Zulm karte hue wo shaKHs larazta hi nahin
Sharib Mauranwi