اردو हिंदी
Zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi | Shaahi Shayari
zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi

Ghazal

Zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi

Mushafi Ghulam Hamdani

;

zulfon ka bikharna ek to bala, aariz ki jhalak phir waisi hi
aankhon ka maTakna hosh-ruba, har ek palak phir waisi hi

wo shoKH jo guzre misl-e-saba, to bhaDke na kyun-kar aatish-e-dil
ek taur ki us ki jumbish-e-pa, daman ki jhaTak phir waisi hi

koi kyun na gareban chaak kare ab dekh ke chhab ko us but ki
pinDe ka jhalakna hae KHuda, choli ki masak phir waisi hi

dil kyun na kare sine mein tapish, jab yar ki ho ye rah-o-rawish
raftar mein ek albeli ada, aur qad ki lachak phir waisi hi

hum kyun na kaf afsos malen, jab we hi tera pa-bos karen
daman se ziyaada band-e-qaba, zulfon ki laTak phir waisi hi

wo mah chhupaya tu ne kahan hai jis se jigar par dagh mere
surat to dikha de mujh ko zara jaldi se falak phir waisi hi

ai 'mushafi' mere haal pe ab kyun-kar na koi afsos kare
be-saKHta dil betab hua aansu ki Dhalak phir waisi hi