zulfen sina naf kamar
ek nadi mein kitne bhanwar
sadiyon sadiyon mera safar
manzil manzil rahguzar
kitna mushkil kitna kaThin
jine se jine ka hunar
ganw mein aa kar shahr base
ganw bichaare jaen kidhar
phunkne wale socha bhi
phailegi ye aag kidhar
lakh tarah se nam tera
baiTha likkhun kaghaz par
chhoTe chhoTe zehn ke log
hum se un ki baat na kar
peT pe patthar bandh na le
hath mein sajte hain patthar
raat ke pichhe raat chale
KHwab hua har KHwab-e-sahar
shab bhar to aawara phire
lauT chalen ab apne ghar
Ghazal
Zulfen sina naf kamar
Jaan Nisar Akhtar