zulfen chhoDin hain ki joDa us ne chhoDa sanp ka
dekhiye kis kis ko Dasta hai ye joDa sanp ka
gore galon par tere zulfen ye lahraati nahin
yasmin-zar-e-sabahat mein hai joDa sanp ka
ishq un zulfon ka mujh se tark hone ka nahin
hai mera ham-zad ai naseh ye joDa sanp ka
donon zulfen yar ki ulTi hain baalon par mere
wajd karta hai sada-e-nai ye joDa sanp ka
munD gain zulfen hain shaer kis se ab denge misal
ho gaya tashbih ki KHatir bhi toDa sanp ka
umr bhar dil ko KHayal-e-gesu-e-pechan raha
dhyan is nadan ne hargiz na chhoDa sanp ka
nuqrai mubaf choTi mein raha un ki sada
kenchuli ne umr bhar pichha na chhoDa sanp ka
paD gai iza-dahandi ki teri zulfon ko KHu
kaTta hai uD ke aashiq ko ye joDa sanp ka
kuchh samajh kar raha hun yar ki zulfon ki dasht
palta hun apne kaTwane ko joDa sanp ka
sham se un gesuon ki yaad mein jo so raha
KHwab mein dekha kiya ta-subh joDa sanp ka
ishq mein gesu o abru ke agar deni hai jaan
nish-e-aqrab kha ke pi le zahr thoDa sanp ka
waste muzi ke aaKHir mein bhi muzi ban gaya
sar kisi haalat mein be-kuchle na chhoDa sanp ka
ishq-e-gesu mein na qatra bhi talaf hone diya
zahr sara halaq mein main ne nichoDa sanp ka
KHat pe aate hain bahut lahra ke gesu yar ke
sabza-e-nau-KHez par ghash hai ye joDa sanp ka
halqa-e-gesu-e-shab ko zarra-e-afshan chuni
raat ko chun chun ke ek ek dant toDa sanp ka
har qadam par mar kar sar kar raha hai nag-pech
ab chalan sikha hai is muzi ne thoDa sanp ka
dushman-e-jaani ko apne di na iza 'rind' ne
dant hi toDa na chhaala us ne phoDa sanp ka
Ghazal
Zulfen chhoDin hain ki joDa usne chhoDa sanp ka
Rind Lakhnavi