zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain
dhup mein shaiba-e-sham liye phirte hain
murda basti hai KHabar kaun kisi ki lega
sath mein dushman-o-dushnam liye phirte hain
ab junun mein bhi to behosh nahin diwane
ru-ba-sahra hain dar-o-baam liye phirte hain
sard chup-chap zaminon ki tarah hi hum log
apne andar koi kohram liye phirte hain
har-qadam khulta hai ek band gali ki jaanib
har-nafas KHadsha-e-anjam liye phirte hain
munfarid apne KHad-o-KHal na KHaka apna
wo jo aglon ne rakha nam liye phirte hain

Ghazal
Zulf se nisbat-e-nakaam liye phirte hain
syed raza