zulf o ruKH ke sae mein zindagi guzari hai
dhup bhi hamari hai chhanw bhi hamari hai
gham-gusar chehron par e'tibar mat karna
shahr mein siyasat ke dost bhi shikari hai
moD lene wali hai, zindagi koi shayad
ab ke phir hawaon mein ek be-qarari hai
haal KHun mein Duba hai kal na jaane kya hoga
ab ye KHauf-e-mustaqbil zehn zehn tari hai
mere hi buzurgon ne sar-bulandiyan baKHshin
mere hi qible par mashq-e-sang-bari hai
ek ajib ThanDak hai is ke narm lahje mein
lafz lafz shabnam hai baat baat pyari hai
kuchh to paenge us ki qurbaton ka KHamyaza
dil to ho chuke TukDe ab saron ki bari hai
bap bojh Dhota tha kya jahez de pata
is liye wo shahzadi aaj tak kunwari hai
kah do 'mir' o 'ghaalib' se hum bhi sher kahte hain
wo sadi tumhaari thi ye sadi hamari hai
karbala nahin lekin jhuT aur sadaqat mein
kal bhi jang jari thi ab bhi jang jari hai
ganw mein mohabbat ki rasm hai abhi 'manzar'
shahr mein hamare to jo bhi hai madari hai
Ghazal
Zulf o ruKH ke sae mein zindagi guzari hai
Manzar Bhopali