zulf lahra ke faza pahle moattar kar de
jam phir aankhon ke mai-KHane se bhar bhar kar de
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kya
apni muskan se mahfil ko munawwar kar de
hosh to uD gae aankhon se hi pi kar saqi
ab zara wo bhi pila de jo gala tar kar de
ghair ko munh na laga hosh mein hun jab tak main
itna ehsan mere saqiya mujh par kar de
be-murawwat hain baDe pi ke bhi hain hosh mein jo
aise mai-KHwaron ko mai-KHane se bahar kar de
sher mein sath rawani ke maani bhi to bhar
ai 'sada' qaid tu kuze mein samundar kar de
Ghazal
Zulf lahra ke faza pahle moattar kar de
Sada Ambalvi