اردو हिंदी
Zulf khole tha kahan apni wo phir bebak raat | Shaahi Shayari
zulf khole tha kahan apni wo phir bebak raat

Ghazal

Zulf khole tha kahan apni wo phir bebak raat

Raza Azimabadi

;

zulf khole tha kahan apni wo phir bebak raat
KHud-ba-KHud hota tha jun shana dil apna chaak raat

barg-e-gul shabnam se tar mat jaaniyo ai baghban
gul ne daman se kiye bulbul ke aansu pak raat

shama raushan jun ki aati hai nazar fanus mein
burqe mein tha jalwa-gar wo ru-e-atishnak raat

mughbache ke chukne se ho gaya sara KHalal
the lagae warna rindan duKHt-e-raz se tak raat

tu ne bhariyan shoala-afshan aisi hi aahen 'raza'
yar ke kuche ke jal gae sab KHas-o-KHashak raat