zulf ka kya us ki chaTka lag gaya
zor-e-dil ke hath laTka lag gaya
tar-e-mizhgan par chala jata hai ashk
kaam par laDka ye naT ka lag gaya
chashm-o-abru par nahin mauquf kuchh
jaan-e-man dil jis ka aTka lag gaya
jam-e-gul mein kyun na de shabnam gulab
subh-dam ghunche ko chaTka lag gaya
manzil-e-gum-karda ek main hun 'nasir'
rah se jo koi bhaTka lag gaya
Ghazal
Zulf ka kya uski chaTka lag gaya
Shah Naseer

