zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai
sanp ke munh mein mujhe meri qaza lai hai
aaj mai-KHane pe ghanghor ghaTa chhai hai
ek duniya hai ki pine ko umaD aai hai
zulf-e-shab-rang ka hai aks ye paimane mein
ya pari koi ye shishe mein utar aai hai
tu bata nawak-e-jaanan teri kya hai niyat
KHanjar-e-yar ne to sar ki qasam khai hai
hur o ghilman meri aankhon mein samaen kyun kar
kis mein teri si ada teri si ranai hai
kuchh mudawa na hua tum se mariz-e-gham ka
kya isi barte pe dawa-e-masihai hai
surKHi-e-KHun-e-shahidan ki jhalak hai is mein
dast-e-qatil pe ghazab rang hina lai hai
Ghazal
Zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai
Sher Singh Naaz Dehlvi