zulf agar dil ko phansa rakhti hai
aankh pardon mein chhupa rakhti hai
sath fahmidgi gar howe to phir
but-parasti bhi maza rakhti hai
chahchaha rang mere KHun ka sa
tere panw ki hina rakhti hai
aarsi hoti hai sanmukh tere
kuchh bhi aankhon mein haya rakhti hai
kar diya us ne to mujh ko madhosh
kis ki bu baad-e-saba rakhti hai
KHak-e-dehli ki zara sair to kar
ki ajab aab-o-hawa rakhti hai
hae tikhi nigah us kafir ki
kya kahun main jo ada rakhti hai
teri taswir ko le kar shirin
apni chhati se laga rakhti hai
jab talak aawe hai tu phir ke ye chaal
KHak mein mujh ko mila rakhti hai
aarsi se na karo kaj-nazari
is ka tum se wo gila rakhti hai
aah meri hai asar se ham-dosh
tal-e-zulf-e-rasa rakhti hai
kya hai taqsir jo hum ko tujh se
gardish-e-charKH juda rakhti hai
jhuk paDe hai teri pa-bosi ka
zulf bhi shauq-e-bala rakhti hai
gosht aur post bhi gal jata hai
jism ke bich ye kya rakhti hai
'mushafi' nam hai jis chiz ka chah
aadmi ko to khapa rakhti hai
Ghazal
Zulf agar dil ko phansa rakhti hai
Mushafi Ghulam Hamdani