اردو हिंदी
Zuhur-e-kashf-o-karamat mein paDa hua hun | Shaahi Shayari
zuhur-e-kashf-o-karamat mein paDa hua hun

Ghazal

Zuhur-e-kashf-o-karamat mein paDa hua hun

Anjum Saleemi

;

zuhur-e-kashf-o-karamat mein paDa hua hun
abhi main apne hijabaat mein paDa hua hun

mujhe yaqin hi nahin aa raha ki ye main hun
ajab tawahhum o shubhat mein paDa hua hun

guzar rahi hai mujhe raundti hui duniya
qadim o kohna riwayat mein paDa hua hun

bachao ka koi rasta nahin bacha mujh mein
main apne KHana-e-shah-mat mein paDa hua hun

main apne dil pe bahut zulm karne wala tha
so ab jahan-e-makafat mein paDa hua hun