zor yaro aaj hum ne fath ki jang-e-falak
yak tamanche mein kabudi kar diya rang-e-falak
garmi-e-dukan par apni shishagar sarkash na ho
DhunDhta phirta hai tere sar ke tain sang-e-falak
kaj-rawi se us ki gar aaqil hai tu ghafil na rah
in dinon aur hi nazar aata hai kuchh Dhang-e-falak
tu jo tul baiThe to palle chahiye hon mahr-o-mah
aisi mizan ke tain lazim hai passang-e-falak
shauq hai gar sair-e-baala ka to 'hatim' ho sawar
kahkashan se khinch kar laya hun ab tang-e-falak
Ghazal
Zor yaro aaj humne fath ki jang-e-falak
Shaikh Zahuruddin Hatim