zor us par hai na haalat pe qabu yaro
jaane ab kya ho mulaqat ka pahlu yaro
kitne zaKHmon ke tabassum ka pata dete hain
meri palkon pe sulagte hue jugnu yaro
zaKHm is taur se mahke hain sar-e-sham-e-firaq
dur tak phail gai dard ki KHushbu yaro
kitne KHwabon ko nichoDa hai to un aankhon se
aaj Tapka hai ye jalta hua aansu yaro
donon aalam meri banhon mein simaT aae the
raat shanon pe pareshan the wo gesu yaro
log kahte the na pighlega wo patthar 'shahid'
tum ne dekha mere ashaar ka jadu yaro
Ghazal
Zor us par hai na haalat pe qabu yaro
Shahid Akhtar