اردو हिंदी
Zor-o-zar ka hi silsila hai yahan | Shaahi Shayari
zor-o-zar ka hi silsila hai yahan

Ghazal

Zor-o-zar ka hi silsila hai yahan

Akbar Hameedi

;

zor-o-zar ka hi silsila hai yahan
lafz ko kaun puchhta hai yahan

pahla to ab kisi jagah bhi nahin
jis taraf dekho dusra hai yahan

raat din phir raha hun galiyon mein
mera ek shaKHs kho gaya hai yahan

sehr hai ya tilism hai kya hai
har koi rah bhulta hai yahan

har kahin sach hi bolna chahe
shayad 'akbar' naya naya hai yahan