اردو हिंदी
Zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein | Shaahi Shayari
zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein

Ghazal

Zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein

Imam Bakhsh Nasikh

;

zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein
jama hain tere KHaridar tere kuche mein

dekh kar tujh ko qadam uTh nahin sakta apna
ban gae surat-e-diwar tere kuche mein

panw phailae zamin par main paDa rahta hun
surat-e-saya-e-diwar tere kuche mein

go tu milta nahin par dil ke taqaze se hum
roz ho aate hain sau bar tere kuche mein

ek hum hain ki qadam rakh nahin sakte warna
ainDate phirte hain aghyar tere kuche mein

pasbanon ki tarah raaton ko be-tabi se
nale karte hain hum ai yar tere kuche mein

aarzu hai jo marun main to yahin dafn bhi hun
hai jagah thoDi si darkar tere kuche mein

gar yahi hain tere abru ke ishaare qatil
aaj-kal chalti hai talwar tere kuche mein

haal-e-dil kahne ka 'nasiKH' jo nahin pata bar
phenk jata hai wo ashaar tere kuche mein