zom na kijo shama-ru bazm ke soz o saz par
rakhiyo nazar baja-e-naz KHatir-e-pir-e-naz par
zeb nahin hai shaiKH ye mai-kash-e-pak-baz par
tohmaten sau lagaega dagh-e-jabin niyaz par
kahta hun har hasin se main niyat-e-ishq hai meri
aaega mera dil magar shahid-e-dil-nawaz par
farq hayat o marg ka murgh-e-chaman ke dil se puchh
deta hai fauq dam ko changul-e-shah-baz par
KHwab-e-lahad hai pur-sukun ahd-e-hayat pur-alam
maut na kyun ho tana-zan zindagi-e-daraaz par
sang-e-dar-e-habib par hota hun sajda-rez main
KHalq-e-KHuda hai mo'tariz mujh pe meri namaz par
munim-e-be-basar yunhi dekhiye ta-kuja rahe
mahw-e-nashat o KHush-dili naghma-e-tar-e-saz par
faKHr-e-amal na chahiye sai-e-amal zarur hai
aankh rahe lagi hui rahmat-e-karsaz par
dar pe buton ke di sada 'sael'-e-be-nawa ne ye
fazl-e-KHuda rahe mudam haal-e-gada-nawaz par

Ghazal
Zom na kijo shama-ru bazm ke soz o saz par
Saail Dehlvi