zohra suhail shams KHur badr baha tu kaun hai
hosh-ruba sitamgar mah-laqa tu kaun hai
bhut KHabis naznin gul pari bala kahun
dil-lagi achchhi ye nahin mujh se hansa tu kaun hai
rag KHayal gata hai raqs KHushi dikhata hai
dur se kyun rijhata hai pas to aa tu kaun hai
band hain lab jawab mein ghir gaya main azab mein
aaya jo mere KHwab mein aisa bura tu kaun hai
ab na payam-e-wasl de hijr ka kaun gham sahe
dur ho dur ho are pas na aa tu kaun hai
aaya hai kis ke jaish se bolta hai jo taish se
maffil-o-bazm-e-aish se dur ho ja tu kaun hai
bol na 'aKHtar' ab kabhi haT thi ye ek shaKHs ki
tarah jo sab se ki buri ye to bata tu kaun hai

Ghazal
Zohra suhail shams KHur badr baha tu kaun hai
Wajid Ali Shah Akhtar