zohd kis kis ne luTae hain tumhein kya malum
aaj wo kya nazar aae hain tumhein kya malum
tum ko begane bhi apnate hain main jaanta hun
mere apne bhi parae hain tumhein kya malum
kitni viran hain be-nur hain aankhen meri
ye diye kis ne bujhae hain tumhein kya malum
shauq-e-awara ko sahra-e-faramoshi mein
raste DhunDne aae hain tumhein kya malum
ahl-e-dil hasrat-e-dil le ke tumhaare dar par
aaj kis bhes mein aae hain tumhein kya malum
dekh kar haal hamara na hanso ghurbat mein
kaun hain kis tarah aae hain tumhein kya malum
'saif' ye dard se mamur KHarabe dil ke
kitni mushkil se basae hain tumhein kya malum
Ghazal
Zohd kis kis ne luTae hain tumhein kya malum
Saifuddin Saif