ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna
saba se sae se KHushbu se pyar mat karna
hamein wahan ke bagule bane jo kahte the
tawaf-e-kucha-e-shahr-e-nigar mat karna
main Dhalti dhup ki lau hun mera bharosa kya
nigah-e-sham mera intizar mat karna
na KHud tumhin pe kuchh ilzam-e-waqt aa jae
hamara shikwa-e-sabr-o-qarar mat karna
ye sach hai ishq hi sabit-qadam nahin mera
main kah raha hun mera e'tibar mat karna
abhi hai ku-ba-ku phirna tujhe 'musawwir' abhi
umid-e-saya-e-diwar-e-yar mat karna
Ghazal
Ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna
Musavvir Sabzwari