zinde wahi hain jo ki hain tum par mare hue
baqi jo hain so qabr mein murde bhare hue
mast-e-alast qulzum-e-hasti mein aae hain
misl-e-habab apna piyala bhare hue
allah-re safa-e-tan-e-naznin-e-yar
moti hain kuT kuT ke goya bhare hue
do din se panw jo nahin dabwae yar ne
baiThe hain hath hath ke upar dhare hue
in abruon ke halqa mein wo ankhDiyan nahin
do taq par hain do gul-e-nargis dhare hue
baad-e-fana bhi aaegi mujh mast ko na nind
be-KHisht-e-KHam lahad mein sirhane dhare hue
niklen jo ashk be-asar aankhon se kya ajab
paida hue hain tifl hazaron mare hue
likkhe gae bayazon mein ashaar-e-intiKHab
raij rahe wahi ki jo sikke khare hue
ulTa safon ko tegh ne abru-e-yar ki
tir-e-mizha se darham-o-barham pare hue
'atish' KHuda ne chaha to dariya-e-ishq mein
kude jo ab ki hum to ware se pare hue
Ghazal
Zinde wahi hain jo ki hain tum par mare hue
Haidar Ali Aatish