اردو हिंदी
Zindagi zauq-e-parastish ki saza mange hai | Shaahi Shayari
zindagi zauq-e-parastish ki saza mange hai

Ghazal

Zindagi zauq-e-parastish ki saza mange hai

Shamshad Shahar

;

zindagi zauq-e-parastish ki saza mange hai
kanch ke kabe mein patthar ka KHuda mange hai

aaj phir apne payambar ki panahon ke liye
ahd-e-ashob koi ghaar-e-hira mange hai

zindagi aaj hai insan ki to misl-e-qafas
umr-e-paiham ke liye apni chita mange hai

husn-kari ke liye aaj ye dildar-e-suKHan
rang-e-KHun aur zara bu-e-hina mange hai

minnat-e-gosh nahin qafila-e-waqt-e-'sahar'
lamha lamha wo magar bang-e-dara mange hai